Abhi, is lamhe mein,
Kuch samajh nahi aa raha,
Awaazien yahaan sirf sunai de rahi hain,
Kuch khaas tha, ab raha nahi.
Kuch kheechta rehta tha mujhe,
Ab mein yahaan,
Barish ke boondh mein,
Khada raha, dard mein,
Aansooun mein, lipta hua,
Ruka hua hoon mein,
Bhardha lo haanth,
Main dard mein hoon,
Fursat se jab dil behel gaya,
Har aahat ghabrane lagi,
Har kandha masroof hogaya,
Apne aansoon thame hue,
Do kadam uthaya aur behne diye,
Har moodh pe jisne dheka,
Jaane diya,
Mere in aansooun ko,
Bhoondhoon mein mila kar,
Chalde diye.
Baithe hue is tanhai mein,
Is hawa ka rukh badalne se,
Dil behel jata hai,
Kisi aahat ke intezaar mein,
Shayad mein yahaan tukdoon mein gir jaaon,
Shayad is intezaar mein,
Mujhe meri tanhai ka kandha mile,
Shayad ishi mein khushi mile.
Shayad phir akelepan mehsuus nahi ho.
No comments:
Post a Comment