Kaisi zindagi ban si gayi hai,
Udaas chehra jhalak raha hai.
Naam ke dost to kayi hai,
Tu ek hamesha saath raha hai.
--
Urdhti patang ki tarah thi meri zindagi,
Kat gayi apki nazroon se, chun li maine apni khushi.
--
Lehroon jaisi thi meri zindagi,
Idhar uthar jhumti.
Jo tum aye, aisa lagta hai ki ab,
Badal banke barasna baqi raha hai.
--
Urdhti hawa ab udaasi layi,
Mere khwaboon pe yeh jo chayi.
Ab tum hi bata do ay zindagi,
Kis gunah ki hai yeh saza payi?
--
Tere chehre ki woh muskurahat.
Neend meri udhaye.
Ek woh pal jo yaad karna chahein,
Woh pal hi na yaad aye.
--
Dekh kar tumhara woh muskurana.
Dil bhi ab rangeen hogaya hai.
Cheen na chahte to yeh pal mere,
To ab yeh rang tum hi mita do.
--
Bekhabar thi meri sari umar,
Jab tak tumhe nahi dekha tha.
Ab ti kisi cheez ki khabar ki liye fursat hi kahaan?
--
Jee rahe the apke palkhoon mein,
Toot ke giri jo bhaon apki,
Rakh kar hatheli pe,
Dua ban ke urdh gaye apki.
--
No comments:
Post a Comment